Taron Bhari Raat Aur Tumhara Pyaar

Hello meri jaan! Aaj raat aasmaan par taare kuch zyada hi chamak rahe hain. Me chhat par leti unhe ginne ki koshish kar rahi hun, lekin har taare me tum nazar aate ho.

Kehti hain ke toot-ta taara dekh kar jo dua mango woh poori hoti hai. Maine aaj ek taara tootta dekha… aur dua me sirf tumhe manga.

Tumhe pata hai, taaron ko dekh kar mujhe tumhari aankhen yaad aati hain — bilkul waisi hi chamakti hain jab tum khush hote ho.

Kash me tumhe ye taaron bhara aasmaan dikha sakti. Hum dono chup chaap lete taare ginte, aur tum mera haath pakre hote. Kitna khoobsurat khwab hai na?

Ab aankhen band kar rahi hun, taaron ko good night keh kar. Tum bhi so jao, aur khwabon me milte hain. Good night meri jaan, love you!

Leave a Comment